Main Hun Aur Silsila-e-ashk-e-rawan Aaj Ki Raat
main hun aur silsila-e-ashk-e-rawan aaj ki raat
zindagi hai hama-tan soz ba-jaan aaj ki raat
dida-e-shauq mein hai raqs-kunan aaj ki raat
gham ki bujhti hui shamon ka dhuan aaj ki raat
apni palkon pe larazte hue taron ki qasam
sab ke honTon pe hai fariyaad-o-fughan aaj ki raat
hain kahan aah wo huran-e-tasawwur jin se
dil tha ghairat-dah-e-gulzar-e-jinan aaj ki raat
samne koi nahin ruh-nawaz-e-dil-o-jaan
zindagani ki tamanna hai garan aaj ki raat
chandni raat ke chehre pe hai kyun gham ka ghubar
dhundli dhundli si hai kyun kahkashan aaj ki raat
wo nahin hain to muqaddar mein hain mere 'manzur'
matam-e-marg-e-tamanna-e-jawan aaj ki raat
(444) Peoples Rate This