Ilaj-e-zaKHm-e-dil Hota Hai Gham-KHwari Bhi Hoti Hai

ilaj-e-zaKHm-e-dil hota hai gham-KHwari bhi hoti hai

magar maqtal ki mere KHun se gul-kari bhi hoti hai

wahi qatil wahi munsif adalat us ki wo shahid

bahut se faislon mein ab taraf-dari bhi hoti hai

ye hai turfa-tamasha karbala-e-asr-e-hazir ka

gharon mein qatilon ke ab aza-dari bhi hoti hai

talluq un se TuTa tha na TuTa hai na TuTega

bahut mazbut zanjir-e-wafa-dari bhi hoti hai

wo mera dost hai 'manzur' lekin jab bhi milta hai

KHulus-e-dil mein shamil kuchh riya-kari bhi hoti hai

(465) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ilaj-e-zaKHm-e-dil Hota Hai Gham-KHwari Bhi Hoti Hai In English By Famous Poet Malikzada Manzoor Ahmad. Ilaj-e-zaKHm-e-dil Hota Hai Gham-KHwari Bhi Hoti Hai is written by Malikzada Manzoor Ahmad. Read famous Poem Ilaj-e-zaKHm-e-dil Hota Hai Gham-KHwari Bhi Hoti Hai for youth and Student by Malikzada Manzoor Ahmad. Free Download Ilaj-e-zaKHm-e-dil Hota Hai Gham-KHwari Bhi Hoti Hai in PDF.