Chehre Pe Sare Shahr Ke Gard-e-malal Hai
chehre pe sare shahr ke gard-e-malal hai
jo dil ka haal hai wahi dilli ka haal hai
uljhan ghuTan hiras tapish karb intishaar
wo bhiD hai ke sans bhi lena muhaal hai
aawargi ka haq hai hawaon ko shahr mein
ghar se charagh le ke nikalna muhaal hai
be-chehragi ki bhiD mein gum hai har ek wajud
aaina puchhta hai kahan KHadd-o-KHal hai
jin mein ye wasf ho ki chhupa len har ek dagh
un aainon ki aaj baDi dekh-bhaal hai
parchhaiyan qadon se bhi aage nikal gain
suraj ke Dub jaane ka ab ehtimal hai
kashkol-e-chashm le ke phiro tum na dar-ba-dar
'manzur' qaht-e-jins-e-wafa ka ye sal hai
(534) Peoples Rate This