Agar Chahun JhaTak Kar ToD Dun Zanjir-e-tanhai
agar chahun jhaTak kar toD dun zanjir-e-tanhai
main tinka hun magar maujon se hai meri shanasai
sharik-e-rah thi jab tak hamari aabla-pai
na mathe par shikan ubhri na panw mein thakan aai
hawa se subh-e-na-asudgi achchha kiya tu ne
kitab-e-zindagi ke kuchh waraq tu bhi uDa lai
hazaron marhale the fasl-e-gul se chaak-e-daman tak
KHizan guzri to kab guzri bahaar aai to kab aai
'nasim' ek din wo aaega ki mazlumon ke qadmon mein
panahen DhunDhti hogi sitam-ranon ki darai
(465) Peoples Rate This