Nemul-badal
mujhe malum hai ki kuchh na badlega
na shaKH-e-hijr par aasar aaenge KHizaon ke
KHayalon ke samundar mein na kuchh tabdili aaegi
na kirdaron ke roz o shab mein koi farq aaega
magar in nazmon ghazlon ki kahani aur giton ki
aati jati lahron se
ye mera KHushk sahil
sairab to hota rahe
mujh ko mere hone ka ehsas to hota rahe
(515) Peoples Rate This