Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_eff504ebb090c578354ddae85a6e2433, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Yaad Phir Bhuli Hui Ek Kahani Aai - Makhmoor Saeedi Poetry In English - Darsaal

Yaad Phir Bhuli Hui Ek Kahani Aai

yaad phir bhuli hui ek kahani aai

dil hua KHun tabiat mein rawani aai

subh-e-nau naghma-ba-lab hai magar ai Dubti raat

mere hisse mein teri marsiya-KHwani aai

zard-ru tha kisi sadme se ubharta suraj

ye KHabar Dubte taron ki zabani aai

har nai rut mein hum afsurda o dil-gir rahe

ya to guzre hue mausam ki jawani aai

pa gae zindagi-e-nau kai miTte hue rang

zehn mein jab koi taswir purani aai

KHushk patton ko chaman se ye samajh kar chun lo

hath shadabi-e-rafta ki nishani aai

yaad ka chand jo ubhra to ye aankhen huin nam

gham ki Thahri hui naddi mein rawani aai

dil ba-zahir hai subuk-dosh-e-tamanna 'maKHmur'

phir tabiat mein kahan ki ye girani aai

(398) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Yaad Phir Bhuli Hui Ek Kahani Aai In English By Famous Poet Makhmoor Saeedi. Yaad Phir Bhuli Hui Ek Kahani Aai is written by Makhmoor Saeedi. Read famous Poem Yaad Phir Bhuli Hui Ek Kahani Aai for youth and Student by Makhmoor Saeedi. Free Download Yaad Phir Bhuli Hui Ek Kahani Aai in PDF.