Lafzon Ke Siyah Pairahan Mein LipTi Hui Kuchh Tanwiren Hain
lafzon ke siyah pairahan mein lipTi hui kuchh tanwiren hain
ai dida-waro pahchano to kis hath ki ye tahriren hain
jati hui rut kab rukti hai ai dil ye abas tadbiren hain
jo qaid hawaon ko kar len kya aisi bhi kuchh zanjiren hain
naghma wo kis ne chheDa hai bichhDe hue gham sab aan mile
aawaz ki lahron par larzan sau mohr-ba-lab taswiren hain
aawara hawa ke jhonkon par akasr ye guman guzra jaise
ye hum se preshan-haalon ki be-samt-o-jehat taqdiren hain
is shahr mein le kar aae hain hum shabnam-o-gul ki saughaten
aankhon mein jahan angare hain hathon mein jahan shamshiren hain
kuchh KHwab ujalon ke hum ne dekhe the magar ta-hadd-e-nazar
jo zulmat ban kar phail gain kin KHwabon ki tabiren hain
kyun aaj ki jaani-pahchani shaklon se nazar manus nahin
aankhon mein jo phirti rahti hain kis daur ki ye taswiren hain
hum apni zat ke zindan se bahar jo nikal aae bhi to kya
qadmon se jo lipTi paDti hain rahen ye nahin zanjiren hain
(363) Peoples Rate This