Labon Pe Hai Jo Tabassum To Aankh Pur-nam Hai
labon pe hai jo tabassum to aankh pur-nam hai
shuur-e-gham ka ye aalam ajib aalam hai
guzar na jada-e-imkan se be-KHayali mein
yahin kahin teri jannat yahin jahannam hai
bhaTak raha hai dil imroz ke andheron mein
nishan-e-manzil-e-farda bahut hi mubham hai
baDha diya hai asiron ki KHasta-haali ne
qafas se ta-ba-chaman warna fasla kam hai
abhi nahin kisi aalam mein dil Thaharne ka
abhi nazar mein teri anjuman ka aalam hai
kahan ye zindagi-e-harza-gard le aai
na rahguzar-e-tarab hai na jada-e-gham hai
kuchh aise hum ne tere gham ki parwarish ki hai
ki jaise maqsad-e-hasti faqat tera gham hai
(374) Peoples Rate This