Kitni Diwaren UThi Hain Ek Ghar Ke Darmiyan
kitni diwaren uThi hain ek ghar ke darmiyan
ghar kahin gum ho gaya diwar-o-dar ke darmiyan
kaun ab is shahr mein kis ki KHabar-giri kare
har koi gum ek hujum-e-be-KHabar ke darmiyan
jagmagaega meri pahchan ban kar muddaton
ek lamha an-ginat sham o sahar ke darmiyan
ek saat thi ki sadiyon tak safar karti rahi
kuchh zamane the ki guzre lamha bhar ke darmiyan
war wo karte rahenge zaKHm hum khate rahen
hai yahi rishta purana sang o sar ke darmiyan
kya kahe har dekhne wale ko aaKHir chup lagi
gum tha manzar iKHtilafat-e-nazar ke darmiyan
kis ki aahaT par andheron mein qadam baDhte gae
runuma tha kaun is andhe safar ke darmiyan
kuchh andhera sa ujalon se gale milta hua
hum ne ek manzar banaya KHair-o-shar ke darmiyan
bastiyan 'maKHmur' yun ujDin ki sahra ho gain
fasle baDhne lage jab ghar se ghar ke darmiyan
(316) Peoples Rate This