Jada-e-marg-e-musalsal Se Guzarta Jaun
jada-e-marg-e-musalsal se guzarta jaun
zindagi ye hai ki har sans mein marta jaun
KHun har lamha-e-maujud ka karta jaun
rang taswir-e-shab-o-roz mein bharta jaun
muntashir silsila-e-gham ko to karta jaun
sath hi sath magar KHud bhi bikharta jaun
bas yunhi hamsari-e-ahl-e-jahan mumkin hai
dam-ba-dam apni bulandi se utarta jaun
main kisi manzil-e-hasti pe kahan rukta tha
rah mein tum jo na mil jao guzarta jaun
umr bhar jada-e-pur-KHar pe chalna hoga
do-ghaDi saya-e-gul mein bhi Thaharta jaun
apni qismat hun ulajhta hi chala jata hun
teri taqdir nahin hun ki sanwarta jaun
madd-o-jazr-e-yam-e-ehsas ka parwarda hun
Dubta jaun magar KHud hi ubharta jaun
aa hi nikla hun jo yaadon ke khanDar tak 'maKHmur'
bhule-bisron se mulaqat bhi karta jaun
(316) Peoples Rate This