Jab Koi Sham-e-hasin Nazr-e-KHarabaat Hui
jab koi sham-e-hasin nazr-e-KHarabaat hui
aksar aise mein tere gham se mulaqat hui
aap-apne ko na pahchan sake hum ta-der
un se bichhDe to ajab surat-e-haalat hui
husn se nibh na na saki waz-e-karam aaKHir tak
awwal awwal to mohabbat ki mudaraat hui
roz mai pi hai tumhein yaad kiya hai lekin
aaj tum yaad na aae ye nai baat hui
us ne aawaz mein aawaz mila di thi kabhi
aaj tak KHatm na mausiqi-e-jazbaat hui
dil pe ek gham ki ghaTa chhai hui thi kab se
aaj un se jo mile TuT ke barsat hui
kis ki parchhain paDi kaun idhar se guzra
itni rangin jo guzargah-e-KHayalat hui
un se ummid-e-mulaqat ke baad ai 'maKHmur'
muddaton tak na KHud apne se mulaqat hui
(366) Peoples Rate This