Aa Gaya Ho Na Koi Bhes Badal Kar Dekho
aa gaya ho na koi bhes badal kar dekho
do qadam sae ke hamrah bhi chal kar dekho
mehman raushniyo saKHt andhera hai yahan
panw rakhna meri chaukhaT pe sambhal kar dekho
kabhi aisa na ho pahchan na pao KHud ko
bar bar apne irade na badal kar dekho
abr aaega tabhi pyas bujhane pahle
reg-e-sahra ki tarah dhup mein jal kar dekho
din ki dekhi hui har shakl badal jaegi
raat ke sath zara ghar se nikal kar dekho
mom ho jaega patthar sa ye dil sine mein
lamha bhar ko kisi pahlu mein pighal kar dekho
umr-e-rafta ko kahan DhunDh rahe ho 'maKHmur'
us ke kuche mein milegi wahin chal kar dekho
(392) Peoples Rate This