Kam-nigahi
mar ke dekhta hun main
zindagi ki razm-gah sard aur bujhi hui
jaise ek beswa raat ki thaki hui
ho palang par udas nim-jaan paDi hui
koi kashmakash nahin koi justuju nahin
ab to dur dur tak hashr-e-hao-hu nahin
chaar-su nigah mein sukhe sukhe jism mein
maut ki jabin pe hain ya karih tewriyan
chaar-su nigah mein haDDiyon ke Dher hain
aaj bhi jhalakte hain jin se bhuk ke nishan
zindagi giran rahi maut raegan gai
sair ho ke ja rahe hain gadhon ke karwan
mere ham-safar tamam sadgi shiar the
ranj ke shikar the gham se dil-figar the
phir bhi mutmain jiye kitne waza-dar the
wo paDi hai nazima, wo meri rafiq-e-kar
wo meri sharik-e-gham zist ki shaguftagi
sach ki gham-zada rahi ifaqa-kash rahi magar
bheDiyon ke waste tar niwala hi rahi
is ka jism Dhanp dun ki har ek barahnagi
is fareb-zar mein na-pasand ki gai
haalat-e-sitam-nasib dekhta nahin koi
kyun hua koi gharib dekhta nahin koi
aur haqaeq-e-muhib dekhta nahin koi
bagh dekhte hain sab rag dekhte nahin
chand dekhte hain sab dagh dekhte nahin
(376) Peoples Rate This