Zist Ki Har Rahguzar Par Hashr Barpa Chahiye
zist ki har rahguzar par hashr barpa chahiye
dil mein hangama nigahon mein tamasha chahiye
aansuon mein bhi tera jalwa huwaida chahiye
gham ke tufanon mein sirf itna sahaara chahiye
sham-e-gham di hai to ek taban tasawwur de mujhe
main andhera kya karun mujh ko ujala chahiye
meri hasti se barasne lag gai hain bijliyan
ab tere jalwon ke parde par bhi parda chahiye
be-niyazi aaj se karte hain hum bhi iKHtiyar
un ke harbe ko unhin par aazmana chahiye
sath sath is ko liye phirti hai kyun teri talash
dasht ki tanhai mein diwana tanha chahiye
dil par is tartib se ho barish-e-lutf-o-karam
sarKHushi ka naqsh gahra gham ka halqa chahiye
jazb ho kar rah gai hain aashiyan mein bijliyan
ab falak ko us ke hi shoalon se phunka chahiye
mast ho sakta hai tu 'maKHmur' lekin is tarah
aankh mein saghar lab-e-rangin mein sahba chahiye
(372) Peoples Rate This