Paband-e-ehtiyat-e-wafa Bhi Na Ho Sake
paband-e-ehtiyat-e-wafa bhi na ho sake
hum qaid-e-zabt-e-gham se riha bhi na ho sake
dar-o-madar-e-ishq wafa par hai ham-nashin
wo kya kare ki jis se wafa bhi na ho sake
go umr bhar na mil sake aapas mein ek bar
hum ek dusre se juda bhi na ho sake
jab juzw ki sifat mein kul ki sifat hain
phir wo bashar hi kya jo KHuda bhi na ho sake
ye faiz-e-ishq tha ki hui har KHata muaf
wo KHush na ho sake to KHafa bhi na ho sake
wo aastan-e-dost pe kya sar jhukaega
jis se buland dast-e-dua bhi na ho sake
ye ehtiram tha nigah-e-shauq ka jo tum
be-parda ho sake jalwa-numa bhi na ho sake
'maKHmur' kuchh na puchhiye majburi-e-hayat
achchhi tarah KHarab-e-fana bhi na ho sake
(360) Peoples Rate This