Mujhse Shakeb-e-qalb Ka Saman Na Ho Saka
mujh se shakeb-e-qalb ka saman na ho saka
us par bhi dil ka raaz numayan na ho saka
ye dil miTa miTa sa ye shoala bujha bujha
ek aaftab se bhi farozan na ho saka
suljhae teri zulf-e-pareshan ke bal magar
qaem nizam-e-alam-e-imkan na ho saka
tujh ko tere shabab ko rang-e-baqa diya
apni hi zist ka koi saman na ho saka
chhiDki tere tabassum pinhan ki chandni
KHalwat ka rang phir bhi daraKHshan na ho saka
baiTha raha jo gesu-e-mushkin ke sae mein
wo paemal gardish-e-dauran na ho saka
aaina aks-e-jalwa se TuTa nahin kabhi
dil yurish-e-jamal se hairan na ho saka
nashshe mein tere panw pe girta jabin ke bal
'maKHmur' itna kaif-ba-daman na ho saka
(426) Peoples Rate This