Kya Jaane Kahan Bahr-e-ulfat Ka Kinara Hai
kya jaane kahan bahr-e-ulfat ka kinara hai
har mauj ke sine mein kashti ko utara hai
ab aah ruke kyunkar ab ashk thamen kaise
chalti hui aandhi hai bahta hua dhaara
tufan tadabbur hai gahrai tadabbur ki
main ne tah-e-dariya se sahil ko ubhaara hai
parwane charaghon par girne lage masti mein
ye mahfil-e-hasti mein kaun anjuman-ara hai
sab saz ke hamil hain naghma ho ki nala ho
nala bhi gawara kar naghma jo gawara hai
'maKHmur' ko jine do aankhon hi se pine do
ye baada-kash-e-ulfat nazron hi ka mara hai
(423) Peoples Rate This