Jis Ko Na Dil Pe Naz Ho Naz Tere UThae Kyun
jis ko na dil pe naz ho naz tere uThae kyun
uTh na sake jo aastan le ke wo sar jhukae kyun
main jo tera hijab hun kis liye be-naqab hun
parda ho jis ka chaak chaak parde mein munh chhupae kyun
wo jo na dil mein bhar sake nur-o-ziya ki bijliyan
phul mein muskurae kyun zarre mein jagmagae kyun
husn-e-tabah-kar hai chahe kisi bhi shai mein ho
ho na fareb agar hasin koi fareb khae kyun
chhaya hua hai jab tamam aalam-e-kaenat par
gosha-e-tang-o-tar mein dil ke wo phir samae kyun
hashr nae uThae kyun husn ko gar qarar ho
husn jo be-sukun na ho fitne nae jagae kyun
ab to ayan hue baghair jaane na paoge kabhi
chhup ke meri nazar se tum KHalwat-e-dil mein aae kyun
shauq ho jis ka be-karan dil se bhi ho jo bad-guman
apni nigah ko bhi wo jalwa tera dikhae kyun
pir-e-mughan shajia ho zarf bhi jab wasia ho
baada-kash-e-nigah-e-mast nashshe mein laDkhaDae kyun
(350) Peoples Rate This