Hum Aql Pe Ulfat Mein Bharosa Nahin Karte
hum aql pe ulfat mein bharosa nahin karte
jab karte hain kuchh kaam to socha nahin karte
KHud jagte hain rakhte hain taron ko bhi bedar
be-kar shab-e-hijr guzara nahin karte
wo jin ko yaqin husn-e-daraKHshan pe hai apne
kyun dil ke andhere mein ujala nahin karte
hum dekhte hain rose mah-o-mehr ka jalwa
kis rose tere ruKH ka tamasha nahin karte
wo jin ki nigahon mein hai namus-e-mohabbat
be-parda bhi ho koi to dekha nahin karte
gham kya mutahammil jo nahin meri nazar ke
wo mere tasawwur se to parda nahin karte
hain nam se 'maKHmur' ke mashhur-e-zamana
go hum kabhi shaghl-e-mai-o-mina nahin karte
(394) Peoples Rate This