Tum Se Wabasta Hai Meri Maut Meri Zindagi
tum se wabasta hai meri maut meri zindagi
jism se apne kabhi saya juda hota nahin
is tarah fariyaad karne ko kaleja chahiye
ab koi gulshan mein mera ham-nawa hota nahin
wo mohabbat-afrin deta hai hasb-e-zarf-e-ishq
phir kisi se bhi talab-gar-e-wafa hota nahin
ek taKHayyul hai ki jis mein mahw hai mera dimagh
ek tasawwur ye jo aankhon se juda hota nahin
sai-e-fahm-e-zat-e-bari aur ye mahdud aql
jis ka hasil kuchh bhi hairat ke siwa hota nahin
ashraf-ul-maKHluq kahte hain usi majbur ko
jis ka koi kaam be-dast-e-dua hota nahin
jitne arman dil mein the 'maKHmur' sab maujud hain
ek bhi to apne markaz se juda hota nahin
(548) Peoples Rate This