RuKH Har Ek Tir-e-nazar Ka Hai Mere Dil Ki Taraf
ruKH har ek tir-e-nazar ka hai mere dil ki taraf
aane wale aa rahe hain apni manzil ki taraf
Dubne wale ki mayusi pe dil tharra gaya
kis nigah-e-yas se dekha tha sahil ki taraf
sach hai ek ujDi hui duniya ke kya lail-o-nahaar
tum se bhi ab to na dekha jaega dil ki taraf
kis fasurda-KHatiri se raat-bhar jalti rahi
der tak dekha kiye hum sham-e-mahfil ki taraf
apni marzi se nahin apne irade se nahin
har musafir ke qadam uThte hain manzil ki taraf
tum ko kya malum kya banti hai dil par ishq mein
aaina le kar zara dekho muqabil ki taraf
ho gaya 'maKHmur' raaz-e-zindagi ka inkishaf
mauj aati hai fana hone ko sahil ki taraf
(488) Peoples Rate This