KHuda Jab Tak Na Chahe Aadmi Se Kuchh Nahin Hota

KHuda jab tak na chahe aadmi se kuchh nahin hota

mujhe malum hai meri KHushi se kuchh nahin hota

mohabbat jazba-e-isar se parwan chaDhti hai

KHulus-e-dil na ho to dosti se kuchh nahin hota

wahan tera karam tera bharosa kaam aata hai

jahan majbur ho kar aadmi se kuchh nahin hota

ziya-e-shams bhi maujud hai nur-e-qamar bhi hai

basirat hi na ho to raushni se kuchh nahin hota

gharaz tere siwa har ek ko majbur pata hun

bharosa jis pe karta hun usi se kuchh nahin hota

KHud apne haal se uljhe hue hain tere diwane

hanse jae zamane ki hansi se kuchh nahin hota

mohabbat bad-guman ho jae to zinda nahin rahti

asar dil par tumhaari be-ruKHi se kuchh nahin hota

(796) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHuda Jab Tak Na Chahe Aadmi Se Kuchh Nahin Hota In English By Famous Poet Makhmoor Dehlvi. KHuda Jab Tak Na Chahe Aadmi Se Kuchh Nahin Hota is written by Makhmoor Dehlvi. Read famous Poem KHuda Jab Tak Na Chahe Aadmi Se Kuchh Nahin Hota for youth and Student by Makhmoor Dehlvi. Free Download KHuda Jab Tak Na Chahe Aadmi Se Kuchh Nahin Hota in PDF.