Hazar Ranj Ho Dil Lakh Dard-mand Rahe
hazar ranj ho dil lakh dard-mand rahe
KHayal past na ho hausla buland rahe
gham-e-firaq mein dil kyun na dard-mand rahe
bahaar aa ke gai hum qafas mein band rahe
KHuda ki yaad mein duniya ko bhul ja ai dil
wo kaam kar ki har ek tarf sud-mand rahe
mile ki kuchh na mile mangne se kaam rakhun
teri janab mein dast-e-dua buland rahe
dikhain gardish-e-dauran ne suraten kya kya
magar mujhe to akele tumhin pasand rahe
ghurur-e-husn unhen inkisar-e-shewa-e-ishq
wo be-niyaz rahe hum niyaz-mand rahe
janab-e-shaiKH bhi 'maKHmur' shab ko rindon mein
ajib haal se masruf-e-waz-o-pand rahe
(632) Peoples Rate This