Dui Ka Tazkira Tauhid Mein Paya Nahin Jata
dui ka tazkira tauhid mein paya nahin jata
jahan meri rasai hai mera saya nahin jata
mere TuTe hue pa-e-talab ka mujh pe ehsan hai
tumhaare dar se uTh kar ab kahin jaya nahin jata
mohabbat ho to jati hai mohabbat ki nahin jati
ye shoala KHud bhaDak uThta hai bhaDkaya nahin jata
faqiri mein bhi mujh ko mangne se sharm aati hai
sawali ho ke mujh se hath phailata nahin jata
chaman tum se ibarat hai bahaaren tum se zinda hain
tumhaare samne phulon se murjhaya nahin jata
mohabbat ke liye kuchh KHas dil maKHsus hote hain
ye wo naghma hai jo har saz par gaya nahin jata
mohabbat asl mein 'maKHmur' wo raaz-e-haqiqat hai
samajh mein aa gaya hai phir bhi samjhaya nahin jata
(1095) Peoples Rate This