Dalael Se KHuda Tak Aql-e-insani Nahin Jati

dalael se KHuda tak aql-e-insani nahin jati

wo ek aisi haqiqat hai jo pahchani nahin jati

ise to rah mein arbab-e-himmat chhoD dete hain

kisi ke sath manzil tak tan-asani nahin jati

kise milti hain wo aankhen mohabbat mein jo roti hain

mubarak hain wo aansu jin ki arzani nahin jati

ubharta hi nahin dil Dub kar bahr-e-mohabbat mein

jab aa jati hai is dariya mein tughyani nahin jati

gadai mein bhi mujh par shan-e-istighna barasti hai

mere sar se hawa-e-taj-e-sultani nahin jati

muqim-e-dil hain wo arman jo pure nahin hote

ye wo aabaad ghar hai jis ki virani nahin jati

kuchh aisa partaw-e-husn-e-azal ne kar diya raushan

qayamat tak to ab zarron ki tabani nahin jati

kuchh aise barguzida log bhi hain jin ke hathon se

chhuDa kar apna daman pak-damani nahin jati

hujum-e-yas mein bhi zindagi par muskuraata hun

musibat mein bhi meri KHanda-peshani nahin jati

(416) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dalael Se KHuda Tak Aql-e-insani Nahin Jati In English By Famous Poet Makhmoor Dehlvi. Dalael Se KHuda Tak Aql-e-insani Nahin Jati is written by Makhmoor Dehlvi. Read famous Poem Dalael Se KHuda Tak Aql-e-insani Nahin Jati for youth and Student by Makhmoor Dehlvi. Free Download Dalael Se KHuda Tak Aql-e-insani Nahin Jati in PDF.