Yaad Hai
khelta tha jab laDakpan se tera rangin shabab
haT rahi thi mah-e-alam-tab ke ruKH se naqqab
zindagi thi husn-e-nau aaghaz ka rangin KHwab
yaad hai wo naujawani ka zamana yaad hai
jab ki saz-e-zindagi naghmat se mamur tha
zarra zarra mere dil ki KHak ka jab tur tha
main akela hi nahin sara jahan masrur tha
yaad hai wo naujawani ka zamana yaad hai
khelti thi naujawani jab ki banhon mein teri
zindagi ki barishen thin jalwa-gahon mein teri
raqs karti thin tamannaen nigahon mein teri
yaad hai wo naujawani ka zamana yaad hai
har ada-e-husn par hota tha dil jab be-qarar
jab raha karta mulaqaton ka baham intizar
jab tabiat tujh se milna chahti thi bar bar
yaad hai wo naujawani ka zamana yaad hai
raat bhar sone na deti thi masarrat id ki
jabki rahti thi dilon mein be-qarari did ki
mahtab-e-id bin jati kiran KHurshid ki
yaad hai wo naujawani ka zamana yaad hai
raat aati thi sunane soz ka paigham jab
mashq-e-tahrir-e-junun banta tha tera nam jab
tha na kuchh pesh-e-nazar is ishq ka anjam jab
yaad hai wo naujawani ka zamana yaad hai
(436) Peoples Rate This