Tur
yahin ki thi mohabbat ke sabaq ki ibtida main ne
yahin ki jurat-e-izhaar-e-harf-e-muddaa main ne
yahin dekhe the ishwa-e-naz o andaz-e-haya main ne
yahin pahle suni thi dil dhaDakne ki sada main ne
yahin kheton mein pani ke kinare yaad hai ab bhi
dilon mein azhdaham-e-arzu lab band rahte the
nazar se guftugu hoti thi dam ulfat ka bharte the
na mathe par shikan hoti na jab tewar badalte the
KHuda bhi muskura deta tha jab hum pyar karte the
yahin kheton mein pani ke kinare yaad hai ab bhi
wo kya aata ki goya daur mein jam-e-sharab aata
wo kya aata rangili ragni rangin raubab aata
mujhe ranginiyon mein rangne wo rangin sahab aata
labon ki mai pilane jhumta mast shabab aata
yahin kheton mein pani ke kinare yaad hai ab bhi
haya ke bojh se jab har qadam par laghzishen hotin
faza mein muntashir rangin badan ki larzishen hotin
raubab-e-dil ke taron mein musalsal junbishen hotin
KHifa-e-raaz ki pur-lutf baham koshishen hotin
yahin kheton mein pani ke kinare yaad hai ab bhi
bahe jate the baiThe ishq ke zarrin safine mein
tamannaon ka tufan karwaTen leta tha sine mein
jo chhu leta main us ko wo naha jata pasine mein
mai-e-do-atisha ke se maze aate the jine mein
yahin kheton mein pani ke kinare yaad hai ab bhi
bala-e-fikr-e-farda hum se koson dur hoti thi
surur-e-sarmadi se zindagi mamur hoti thi
hamari KHalwat-e-masum rashk-e-tur hoti thi
malak jhula jhulate the ghazal-KHwan hur hoti thi
yahin kheton mein pani ke kinare yaad hai ab bhi
na ab wo khet baqi hain na wo aab-e-rawan baqi
magar is aish-e-rafta ka hai ek dhundla nishan baqi
(461) Peoples Rate This