Sajda
phir usi shoKH ka KHayal aaya
phir nazar mein wo KHush-jamal aaya
phir taDapne laga dil-e-muztar
phir barasne laga hai dida-e-tar
yaad aain wo chandni raaten
wo hansi khel dil-lagi baaten
shab-e-tarik hai KHamoshi hai
kal jahan mahw-e-aish-koshi hai
lutf sajdon mein aa raha hai mujhe
chhup ke koi bula raha hai mujhe
chuDiyan baj rahi hain hathon ki
aai aawaz us ki baaton ki
uD raha hai ghubar-e-nur-e-badan
phailti ja rahi hai bu-e-dahan
mauj-e-tasnim o kaif-e-KHuld-e-barin
jagmagata badan chamakti jabin
apne aanchal mein munh chhupae hue
aa raha hai qadam baDhae hue
naghme pazeb ke sunate hue
baKHt-e-KHufta mere jagate hue
ishwa-o-naz ka fusun le kar
sath ek lashkar-e-junun le kar
dur se muskuraata aata hai
bijliyan si giraata aata hai
wo ki rangin kiran tabassum ki
ek musalsal laDi tarannum ki
parda-e-tan mein rag poshida
rag wo jis mein aag poshida
bansuri si bajae jata hai
aag tan mein lagae jata hai
ek duniya-e-rang-o-bu ban kar
KHun-shuda dil ki aarzu ban kar
nai dulhan ki tharthari ban kar
us ke honTon ki kapkapi ban kar
mere dil mein sama gaya koi
meri hasti pe chha gaya koi
(579) Peoples Rate This