Qaid
qaid hai qaid ki miad nahin
jaur hai jaur ki fariyaad nahin dad nahin
raat hai raat ki KHamoshi hai tanhai hai
dur mahbas ki fasilon se bahut dur kahin
sina-e-shahr ki gahrai se ghanTon ki sada aati hai
chaunk jata hai dimagh
jhilmila jati hai anfas ki lau
jag uThti hai meri sham-e-shabistan-e-KHayal
zindagani ki ek ek baat ki yaad aati hai
shah-rahon mein gali kuchon mein insanon ki bhiD
un ke masruf qadam
un ke mathe pe taraddud ke nuqush
un ki aankhon mein gham-e-dosh aur andesha-e-farda ka KHayal
saikDon lakhon qadam
saikDon lakhon qadam
saikDon lakhon dhaDakte hue insanon ke dil
jaur-e-shahi se ghamin jabr-e-siyasat se niDhaal
jaane kis moD pe ye dhan se dhamaka ho jaen
salha-sal ki afsurda o majbur jawani ki umang
tauq o zanjir se lipTi hui so jati hai
karwaTen lene mein zanjir ki jhankar ka shor
KHwab mein zist ki shorish ka pata deta hai
mujhe gham hai ki mera ganj-e-giran-maya-e-umr
nazr-e-zindan hua
nazr-e-azadi-e-zindan-e-watan kyun na hua
(596) Peoples Rate This