Juz Teri Aankhon Ke
juz teri aankhon ke kin aankhon ne
lutf ka hath rakha dard ki peshani par
pyar ki aankhon se aansu pochhe
narmiyan
lamha-e-wasl ki manind
dil-o-jaan mein utarti hi chali jati hain
hijr ki sham hai Dhal jaegi
wasl ka lamha gurezan hai pighal jaega
tere ruKHsar ki dahki hui rangin shafaq
aur bhi surKH hui
tere sulge hue honTon ke mahakte shoale
aur bhi tez hue
kab chhalak jae na jaane teri labrez wafa aankhon se
mahr ki mai
kab nikal aae tere pyar ka chand
toD de halqa-e-zanjir-e-shab-o-roz
ki ye silsila-e-karb-o-alam KHatm to ho
aur ho jae junun aawara
tu mere halqa-e-aghosh mein aa
(407) Peoples Rate This