Inqalab
ai jaan-e-naghma jahan sogwar kab se hai
tere liye ye zamin be-qarar kab se hai
hujum-e-shauq sar-e-rahguzar kab se hai
guzar bhi ja ki tera intizar kab se hai
na tabnaki-e-ruKH hai na kakulon ka hujum
hai zarra zarra pareshan kali kali maghmum
hai kul jahan mutaffin hawaen sab masmum
guzar bhi ja ki tera intizar kab se hai
ruKH-e-hayat pe kakul ki barhami hi nahin
nigar-e-dahr mein andaz-e-maryami hi nahin
masih o KHizr ki kahne ko kuchh kami hi nahin
guzar bhi ja ki tera intizar kab se hai
hayat-baKHsh tarane asir hain kab se
gulu-e-zehra mein paiwast tir hain kab se hai
qafas mein band tere ham-safir hain kab se
guzar bhi ja ki tera intizar kab se hai
haram ke dosh pe uqba ka dam hai ab tak
saron mein din ka sauda-e-KHam hai ab tak
tawahhumat ka aadam ghulam hai ab tak
guzar bhi ja ki tera intizar kab se hai
abhi dimagh pe qahba-e-sim-o-zar hai sawar
abhi ruki hi nahin tesha-zan ke KHun ki dhaar
shamim-e-adl se mahken ye kucha o bazar
guzar bhi ja ki tera intizar kab se hai
(461) Peoples Rate This