Ghaalib
tum jo aa jao aaj dilli mein
KHud ko paoge ajnabi ki tarah
tum phiroge bhaTakte raston mein
ek be-chehra zindagi ki tarah
din hai dast-e-KHasin ki manind
raat hai daman-e-tahi ki tarah
panja-e-zar-gari o zar-giri
aam hai rasm-e-rahzani ki tarah
aaj har mai-kade mein hai kohram
har gali hai teri gali ki tarah
wo zaban jis ka nam hai urdu
uTh na jae kahin KHushi ki tarah
ham-zaban kuchh idhar udhar sae
nazar aaenge aadmi ki tarah
tum the apni shikast ki aawaz
aaj sab chup hain munsifi ki tarah
aa rahi hai nida bahaaron se
ek gumnam raushni ki tarah
is andhere mein ek rupahli lakir
ek aawaz-e-haq nabi ki tarah!
(376) Peoples Rate This