Ehsas Ki Raat
mujhe Dar hai ki kahin sard na ho jae ye ehsas ki raat
narghe tufan-e-hawadis ke hawas ki yalghaar
ye dhamake ye bagule sar-e-rah
jism ka jaan ka paiman-e-wafa kya hoga
tera kya hoga mere tar-e-nafas
tera kya hoga ai mizrab-e-junun
ye dahakte hue ruKHsar
ye mahakte hue lab
ye dhaDakta hua dil
shafaq-e-zist ki peshani ka rangin qashqa
kya hoga
uD na jae kahin ye rang-e-jabin
miT na jae kahin ye naqsh-e-wafa
chup na ho jae ye bajta hua saz
shamen ab kaun jalaega sar-e-sham guzargahon mein
dahr mein lutf-o-ata kuchh bhi nahin
dahr mein mehr-o-wafa kuchh bhi nahin
sajda kuchh bhi nahin naqsh-e-pa kuchh bhi nahin
mere dil aur dhaDak
shaKH-e-gul
aur mahak aur mahak aur mahak
(381) Peoples Rate This