Chup Na Raho
shab ki tariki mein ek aur sitara TuTa
tauq toDe gae TuTi zanjir
jagmagane laga tarshe hue hire ki tarah
aadamiyyat ka zamir
phir andhere mein kisi hath mein KHanjar chamka
shab ke sannaTe mein phir KHun ke dariya chamke
subh-dam jab mere darwaze se guzri hai saba
apne chehre pe male KHun-e-sahar guzri hai
KHair ho majlis-e-aqwam ki sultani ki
KHair ho haq ki sadaqat ki jahanbani ki
aur unchi hui sahra mein umidon ki salib
aur ek qatra-e-KHun chashm-e-sahar se Tapka
jab talak dahr mein qatil ka nishan baqi hai
tum miTate hi chale jao nishan qatil ke
roz ho jashn-e-shahidan-e-wafa chup na raho
bar bar aati hai maqtal se sada chup na raho
chup na raho!
(405) Peoples Rate This