Aasmani Loriyan
roz-e-raushan ja chuka, hain sham ki tayyariyan
uD rahi hain aasman par zafrani saDiyan
sham ruKHsat ho rahi hai raat ka munh chum kar
ho rahi hain charKH par taron mein kuchh sargoshiyan
jalwe hain betab parde se nikalne ke liye
ban sanwar kar aa rahi hain aasman ki raniyan
nau urus-e-shab ne pahna hai libas-e-faKHira
aasmani pairahan mein kahkashani dhaariyan
karchobi shamiyane mein rachi bazm-e-nashat
saz ne angDai li bajne lagi hain taliyan
la-jawrdi farsh par hai mushtari zohra ka raqs
nail-tan krishn ke pahlu mein machalti gopiyan
dast-o-pa ki narm wa KHush-ahang halki junbishen
ya faza mein nachti hain gungunati bijliyan
sarmadi naghmat se sari faza mamur hai
nutq-e-rab-e-zul-minan hain raat ki KHamoshiyan
nind si aaankhon mein aati hai jhuka jata hai sar
sun raha tha der se main aasmani loriyan
(412) Peoples Rate This