Aaj Ki Raat Na Ja

raat aai hai bahut raaton ke baad aai hai

der se dur se aai hai magar aai hai

marmarin subh ke hathon mein chhalakta hua jam aaega

raat TuTegi ujalon ka payam aaega

aaj ki raat na ja

zindagi lutf bhi hai zindagi aazar bhi hai

saz-o-ahang bhi zanjir ki jhankar bhi hai

zindagi did bhi hai hasrat-e-didar bhi hai

zahr bhi aab-e-hayat-e-lab-o-ruKHsar bhi hai

zindagi KHar bhi hai zindagi dar bhi hai

aaj ki raat na ja

aaj ki raat bahut raaton ke baad aai hai

kitni farKHanda hai shab kitni mubarak hai sahar

waqf hai mere liye teri mohabbat ki nazar

aaj ki raat na ja

(402) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aaj Ki Raat Na Ja In English By Famous Poet Makhdoom Mohiuddin. Aaj Ki Raat Na Ja is written by Makhdoom Mohiuddin. Read famous Poem Aaj Ki Raat Na Ja for youth and Student by Makhdoom Mohiuddin. Free Download Aaj Ki Raat Na Ja in PDF.