Zindagi Motiyon Ki Dhalakti LaDi Zindagi Rang-e-gul Ka Bayan Dosto

zindagi motiyon ki Dhalakti laDi zindagi rang-e-gul ka bayan dosto

gah roti hui gah hansti hui meri aankhen hain afsana-KHwan dosto

hai usi ke jamal-e-nazar ka asar zindagi zindagi hai safar hai safar

saya-e-shaKH-e-gul shaKH-e-gul ban gaya ban gaya abr abr-e-rawan dosto

ek mahakti bahakti hui raat hai laDkhaDati nigahon ki saughat hai

pankhuDi ki zaban phul ki dastan us ke honTon ki parchhaiyan dosto

kaise tai hogi ye manzil-e-sham-e-gham kis tarah se ho dil ki kahani raqam

ek hatheli mein dil ek hatheli mein jaan ab kahan ka ye sud-o-ziyan dosto

dosto ek do jam ki baat hai dosto ek do gam ki baat hai

han usi ke dar-o-baam ki baat hai baDh na jaen kahin duriyan dosto

sun raha hun hawadis ki aawaz ko pa raha hun zamane ke har raaz ko

dosto uTh raha hai dilon se dhuan aankh lene lagi hichkiyan dosto

(563) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Zindagi Motiyon Ki Dhalakti LaDi Zindagi Rang-e-gul Ka Bayan Dosto In English By Famous Poet Makhdoom Mohiuddin. Zindagi Motiyon Ki Dhalakti LaDi Zindagi Rang-e-gul Ka Bayan Dosto is written by Makhdoom Mohiuddin. Read famous Poem Zindagi Motiyon Ki Dhalakti LaDi Zindagi Rang-e-gul Ka Bayan Dosto for youth and Student by Makhdoom Mohiuddin. Free Download Zindagi Motiyon Ki Dhalakti LaDi Zindagi Rang-e-gul Ka Bayan Dosto in PDF.