Wo Jo Chhup Jate The Kabon Mein Sanam-KHanon Mein
wo jo chhup jate the kabon mein sanam-KHanon mein
un ko la la ke biThaya gaya diwanon mein
fasl-e-gul hoti thi kya jashn-e-junun hota tha
aaj kuchh bhi nahin hota hai gulistanon mein
aaj to talKHi-e-dauran bhi bahut halki hai
ghol do hijr ki raaton ko bhi paimanon mein
aaj tak tanz-e-mohabbat ka asar baqi hai
qahqahe gunjte phirte hain bayabanon mein
wasl hai un ki ada hijr hai un ka andaz
kaun sa rang bharun ishq ke afsanon mein
shahr mein dhum hai ek shoala-nawa ki 'maKHdum'
tazkire raston mein charche hain pari-KHanon mein
(395) Peoples Rate This