Tum Gulistan Se Gae Ho To Gulistan Chup Hai

tum gulistan se gae ho to gulistan chup hai

shaKH-e-gul khoi hui murgh-e-KHush-ilhan chup hai

ufuq-e-dil pe dikhai nahin deti hai dhanak

gham-zada mausam-e-gul abr-e-bahaaran chup hai

aalam-e-tishnagi-e-baada-gusaran mat puchh

mai-kada dur hai mina-e-zar-e-afshan chup hai

aur aage na baDha qissa-e-dil qissa-e-gham

dhaDkanen chup hain sarishk-e-sar-e-mizhgan chup hai

shahr mein ek qayamat thi qayamat na rahi

hashr KHamosh hua fitna-e-dauran chup hai

na kisi aah ki aawaz na zanjir ka shor

aaj kya ho gaya zindan mein ki zindan chup hai

(422) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tum Gulistan Se Gae Ho To Gulistan Chup Hai In English By Famous Poet Makhdoom Mohiuddin. Tum Gulistan Se Gae Ho To Gulistan Chup Hai is written by Makhdoom Mohiuddin. Read famous Poem Tum Gulistan Se Gae Ho To Gulistan Chup Hai for youth and Student by Makhdoom Mohiuddin. Free Download Tum Gulistan Se Gae Ho To Gulistan Chup Hai in PDF.