Sahar Se Raat Ki Sargoshiyan Bahaar Ki Baat
sahar se raat ki sargoshiyan bahaar ki baat
jahan mein aam hui chashm-e-intizar ki baat
dilon ki tishnagi jitni dilon ka gham jitna
usi qadar hai zamane mein husn-e-yar ki baat
jahan bhi baiThe hain jis ja bhi raat mai pi hai
unhi ki aankhon ke qisse unhi ke pyar ki baat
chaman ki aankh bhar aai kali ka dil dhaDka
labon pe aai hai jab bhi kisi qarar ki baat
ye zard zard ujale ye raat raat ka dard
yahi to rah gai ab jaan-e-be-qarar ki baat
tamam umr chali hai tamam umr chale
ilahi KHatm na ho yar-e-gham-gusar ki baat
(398) Peoples Rate This