Phir ChhiDi Raat Baat Phulon Ki
phir chhiDi raat baat phulon ki
raat hai ya baraat phulon ki
phul ke haar phul ke gajre
sham phulon ki raat phulon ki
aap ka sath sath phulon ka
aap ki baat baat phulon ki
nazren milti hain jam milte hain
mil rahi hai hayat phulon ki
kaun deta hai jaan phulon par
kaun karta hai baat phulon ki
wo sharafat to dil ke sath gai
luT gai kaenat phulon ki
ab kise hai dimagh-e-tohmat-e-ishq
kaun sunta hai baat phulon ki
mere dil mein surur-e-subh-e-bahaar
teri aankhon mein raat phulon ki
phul khilte rahenge duniya mein
roz niklegi baat phulon ki
ye mahakti hui ghazal 'maKHdum'
jaise sahra mein raat phulon ki
(568) Peoples Rate This