Gulu-e-yazdan Mein Nok-e-sinan Bhi TuTi Hai
gulu-e-yazdan mein nok-e-sinan bhi TuTi hai
kashakash-e-dil-e-paigham-baran bhi TuTi hai
sarab hai ki haqiqat nazara ki fareb
yaqin bhi TuTa hai tarz-e-guman bhi TuTi hai
siyasat-e-dil-aina chur chur to thi
siyasat-e-dil-e-ahan-garan bhi TuTi hai
andheri raat ka ye nim-baz sannaTa
gulon ki sans rag-e-gulsitan bhi TuTi hai
tumhaare jism ka suraj jahan jahan TuTa
wahin wahin meri zanjir-e-jaan bhi TuTi hai
kahan hain aalam-e-imkan wajud mein aaen
nazar nazar hi rahi hai jahan bhi TuTi hai
shikast-o-reKHt zamane ki KHub hai 'maKHdum'
KHudi to TuTi thi KHu-e-butan bhi TuTi hai
(403) Peoples Rate This