BaDh Gaya Baada-e-gul-gun Ka Maza AaKHir-e-shab
baDh gaya baada-e-gul-gun ka maza aaKHir-e-shab
aur bhi surKH hai ruKHsar-e-haya aaKHir-e-shab
manzilen ishq ki aasan huin chalte chalte
aur chamka tera naqsh-e-kaf-e-pa aaKHir-e-shab
khaTkhaTa jata hai zanjir-e-dar-e-mai-KHana
koi diwana koi aabla-pa aaKHir-e-shab
sans rukti hai chhalakte hue paimane mein
koi leta tha tera nam-e-wafa aaKHir-e-shab
gul hai qindil-e-haram gul hain kalisa ke charagh
su-e-paimana baDhe dast-e-dua aaKHir-e-shab
hae kis dhum se nikla hai shahidon ka julus
jurm chup sar-ba-gareban hai jafa aaKHir-e-shab
isi andaz se phir subh ka aanchal Dhalke
isi andaz se chal baad-e-saba aaKHir-e-shab
(413) Peoples Rate This