Hayat Mujh Pe Ek Ilzam Hi Sahi Phir Bhi
hayat mujh pe ek ilzam hi sahi phir bhi
bahut aziz hai mujh ko ye zindagi phir bhi
nahin kuchh aur to mumkin thi KHud-kushi phir bhi
hai koi baat ki jita hai aadmi phir bhi
ye tirgi to bas ek gardish-e-zamin tak hai
magar ye raat jo hum se na kaT saki phir bhi
chaman luTa hai KHud ahl-e-chaman ki sazish se
kali kali hai magar mahw-e-KHwab si phir bhi
kisi ko pa ke bhi akasr guman ye hota hai
ki jaise rah gai baqi koi kami phir bhi
hamin pe yurish-e-zulmat hamin hain kushta-e-shab
hamin hain pesh-raw-e-subh-o-raushni phir bhi
lab-e-'kalim' pe ab naghma-e-bahaar to hai
ye aur baat ki aankhen hain shabnami phir bhi
(453) Peoples Rate This