Wo To Gaya Ye Dida-e-KHun-bar Dekhiye
wo to gaya ye dida-e-KHun-bar dekhiye
daman pe rang-e-pairahan-e-yar dekhiye
dikhla ke wo to le bhi gaya shoKHi-e-KHiram
ab tak hain raqs mein dar o diwar dekhiye
ukta ke hum ne toDi thi zanjir-e-nam-o-nang
ab tak faza mein hai wahi jhankar dekhiye
sine mein chhup gaya hai tulu-e-sahar ke sath
ab shaKH-e-dil pe wo gul-e-ruKHsar dekhiye
barq-e-tapida baad-e-saba shola aur hum
hain kaise kaise us ke giraftar dekhiye
pahle bhi tez-rau the par us dil-nashin ke sath
ye chashm-e-nam ye masti-e-raftar dekhiye
'majruh' ke labon se ye KHushbu na ja saki
baKHshi jo us ne daulat-e-bedar dekhiye
(445) Peoples Rate This