Wo Jis Pe Tumhein Sham-e-sar-e-rah Ka Guman Hai
wo jis pe tumhein sham-e-sar-e-rah ka guman hai
wo shoala-e-awara hamari hi zaban hai
ab hath hamare hai inan raKHsh-e-junun ki
ab sar pe hamare kulah-e-sang-e-butan hai
bas pher ke munh KHar qadam khinch rahe the
dekha to nihan qafila-e-ham-safaran hai
chubhte hi bani KHar-sifat pa-e-KHizan mein
kya kije bahut hum ko gham-e-lala-ruKHan hai
kaam aae bahut log sar-e-maqtal-e-zulmat
ai raushni-e-kucha-e-dil-dar kahan hai
ai fasl-e-junun hum ko pae-shaghl-e-gareban
paiwand hi kafi hai agar jama giran hai
'majruh' kahan se guhar-e-gandum-o-jau laen
apni to girah mein yahi chashm-e-nigaran hai
(377) Peoples Rate This