Su-e-maqtal Ki Pae Sair-e-chaman Jate Hain
su-e-maqtal ki pae sair-e-chaman jate hain
ahl-e-dil jam-ba-kaf sar-ba-kafan jate hain
aa gai fasl-e-junun kuchh to karo diwano
abr sahra ki taraf saya-fagan jate hain
us ko dekha nahin tum ne ki yahi kucha o rah
shaKH-e-gul shoKHi-e-raftar se ban jate hain
wo agar baat na puchhe to karen kya hum bhi
aap hi ruThte hain aap hi man jate hain
bulbulo apni nawa faiz hai un aankhon ka
jin se hum sikhne andaz-e-suKHan jate hain
jo Thaharti to zara chalte saba ke hamrah
yun bhi hum roz kahan su-e-chaman jate hain
luT gaya qafila-e-ahl-e-junun bhi shayad
log hathon mein liye tar-e-rasan jate hain
rok sakta hamein zindan-e-bala kya 'majruh'
hum to aawaz hain diwar se chhan jate hain
(459) Peoples Rate This