Mere Pichhe Ye To Muhaal Hai Ki Zamana Garm-e-safar Na Ho
mere pichhe ye to muhaal hai ki zamana garm-e-safar na ho
ki nahin mera koi naqsh-e-pa jo charagh-e-rahguzar na ho
ruKH-e-tegh se jo na ho kabhi sahar aisi koi nahin meri
nahin aisi ek bhi sham jo tah-e-zulf-e-dar basar na ho
mere hath hain to lunga KHud main ab apna saqi-e-mai-kada
KHum-e-ghair se to KHuda kare lab-e-jam bhi mera tar na ho
main hazar shakl badal chuka chaman-e-jahan mein sun ai saba
ki jo phul hai tere hath mein ye mera hi laKHt-e-jigar na ho
jinhen sab samajhte hain mehr o mah na hon sirf chand nuqush-e-pa
jise kahte hain kurra-e-zamin faqat ek sang-e-safar na ho
tere pa zamin pe ruke ruke tera sar falak pe jhuka jhuka
koi tujh se bhi hai azim-tar yahi wahm tujh ko magar na ho
shab-e-zulm nargha-e-rahzan se pukarta hai koi mujhe
main faraaz-e-dar se dekh lun kahin karwan-e-sahar na ho
(407) Peoples Rate This