KHatm Shor-e-tufan Tha Dur Thi Siyahi Bhi
KHatm shor-e-tufan tha dur thi siyahi bhi
dam ke dam mein afsana thi meri tabahi bhi
iltifat samjhun ya be-ruKHi kahun is ko
rah gai KHalish ban kar us ki kam-nigahi bhi
us nazar ke uThne mein us nazar ke jhukne mein
naghma-e-sahr bhi hai aah-e-subh-gahi bhi
yaad kar wo din jis din teri saKHt-giri pur
ashk bhar ke uTThi thi meri be-gunahi bhi
pasti-e-zamin se hai rifat-e-falak qaem
meri KHasta-haali se teri kaj-kulahi bhi
shama bhi ujala bhi main hi apni mahfil ka
main hi apni manzil ka rahbar bhi rahi bhi
gumbadon se palTi hai apni hi sada 'majruh'
masjidon mein ki main ne ja ke dad-KHwahi bhi
(411) Peoples Rate This