KHanjar Ki Tarah Bu-e-saman Tez Bahut Hai
KHanjar ki tarah bu-e-saman tez bahut hai
mausam ki hawa ab ke junun-KHez bahut hai
ras aae to hai chhanw bahut barg o shajar ki
hath aae to har shaKH samar-rez bahut hai
logo meri gul-kari-e-wahshat ka sila kya
diwane ko ek harf-e-dil-awez bahut hai
munim ki tarah pir-e-haram pite hain wo jam
rindon ko bhi jis jam se parhez bahut hai
maslub hua koi sar-e-rah-e-tamanna
aawaz-e-jaras pichhle pahar tez bahut hai
'majruh' sune kaun teri talKH-nawai
guftar-e-azizan shakar-amez bahut hai
(412) Peoples Rate This